February 2012
M T W T F S S
« Jan    
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
272829  
Cool Ads
Archives

Archive for the ‘Gazal SMS’ Category

Kuch door hamare saath chalo

Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain ?Ashk? mager
Har baat poorani kehdein ge

Aankhain khuab dekhti hain

Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka
Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka
Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka
Aankhain khuab dekhti hain
Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka
Bikhray khuabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka!!

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk
ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk
ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tuk
itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk

Meri aankhon main raho meri aankhon main raho,

Meri aankhon main raho meri aankhon main raho,
Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.!
Tera wada bhi na siyasi ho,
Ab fazaon mein na udasi ho!
Chuu k qadmon ko her khushi guzray,
Kash ab yun hi zindagi guzray!
Tum meray sath meray din meri raaton main raho,
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho!
Pyaar mera tujh say kahta hay,
Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay!
Preet main teri ban k kho jaon,
Meera k jaisi tu bhi hoo jayai!
Ban k radha tum meri murli ki tano main raho,
Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho.!!
Tujhey chaha hay tujhay chahonga,
Mai na chahat say ba?az aaonga,
Teri ulfat k jhulay ain jhulun,
Saath tu day tou aasman chu lun,
Gungunaon main tujhay, dil k taron main raho,
Meri aankhon mein raho, Meri aankhon mein raho

Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain

Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain
apni tabahiyon main hi jub apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain
Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain
Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain
Duniya teray faraib say jobach k nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain

Guzar gaee raat aankhon aankhon main

Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main
Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main
Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main
Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main
Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main
Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main

Apna Ehsas mar na jaye kahin

Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin

Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do

Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do
Apni muskurahatain apna bholapun day do
Apni ankhain baksh do apna husn nawaz do
Apna sakhan day do apnay dil ka dhun day do
Tumharay dum say meray jevan mein khushiyain hain bahar hay
Mein kuch kehna chahta hon mujhey tumse mohabbat hay, mujhey tum se pyar hay
Meri in khuwahishon ko umid ki koi kiran day do
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo
Tumhary siwa koi nahi meri soch, meray giyan mein
Meray as pas, meray door tuk, meray thory say wajdan mein
Mein nay zara si khushbo mangi hay kub kaha chaman daydo
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo
K jub tum door chalay jao koi to tanhai mein sahara ho
Tumhari zaat say mansoob kuch to hamara ho
Mujhey meray khuwab mujhey meray dulhan day do
Meri zindagi lay lo mujhey apna daman day do
Agar apni zaat say kuch bhi daina nahin chahtay
Mujhey apnay dukh apni aakhon ko sawan day doo

Uss k honton ka tabassum rahay qayaim ?YA RUB?

Uss k honton ka tabassum rahay qayaim ?YA RUB?
Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day?
Tu meri ?KARB? ki raaton ko bhalay khatam na ker,
Uss ke her shaam k aakhir mai ?SAWAIRA? ker day.
Uss k ?DIL? k kisi konay main jaga day mujh ko?
Uss ki ?AANKHON? ko meray sapnon say khaira ker day
Yeh meray dil ki dua hay ?MERA MOLA SUN LAY??
Saaaari duniya say chupa ker ?USSAY MERA KER DAY?

Zindagi ki raahon mein Ranj-o-gham ke mele hein

Zindagi ki raahon mein Ranj-o-gham ke mele hein
bheer hey qayamat ki ?phir bhi hum akailey hein
sazishein zamaney ki kaam ker gain aakhir
aap hein udher tanha ?hum idher akailey hein
bheer hey qayamat ki ?phir bhi hum akailey hein
ab to apna saya bhi kho gaya andheron mein
aap se bichar ker hum kis kadar akailey hein
kon kis ka sathi hey hum to gham ki manzil mein
pehley bhi akailey they ?aaj bhi akailey hein
aainey ke soo tukrey ker ke hum ne dekhey hein
aik mein bhi tanha they soo mein bhi akailey hein
bheer hey qayamat ki phir bhi hum akailey hein
zindagi ki raahon mein ranj-o-gham ke mele hein
paas hey sawa jiskey eik na ik haseen katil
justiju mein katil ke ?siraf hum akailey hein
bheer hey qayamat ki ? phir bhi hum akailey hein
zindagi ki rahoon mein ranj-o-gham ke mele hein

Collection
Enjoy our collection of Latest SMS messages. We Have a large Database of Love sms Messages, Friendship sms messages, cute sms messages, decent sms messages, filrt sms messages, Miss you sms messages, Poetry SMS Messages, Romantic sms messages, in various categoris like Urdu SMS Messages, English SMS Messages, Punjabi sms Messages, French sms Messages, Malayalam SMS Messages.